Thursday 29 September 2011

HiMmAt....

Muskilon se bhag jana aasan hota hai,
har pehlu zindgi ka imtihan hota hai,
darne walo ko milta nahi kuch zindgi me,
ladne walo ke kadmo me janhan hota hai,



tu bi ladta chal
apne karmyudh me badhta chal,
andiyon ka kya hai vo to aayengi,
kabi barise to kabi tufan bi aayenge,
per himmat ke sathi tera kya bigad payenge,

kabi bi thak na tu,
kabi bi jhuk na tu,

ye mushikele hi tujhe manzil tak pahuchayengi,
dil me ye vishwas rakh,
mann me adik aas rakh,
hamesha ye yaad rakh,

mushkilon se bhag jana aasan hota h.....

Sunday 18 September 2011

Swapan....

Bhavana ko haqiqat ka jamaa pahnaa,
dekho swapan khada hai,




soch ka anokha sandesh-vahak,
aa nind me dekho swapan khada hai,
hirday ki tees,
to kabhi sunharaa bhavishey la
dekho swapan khada hai....

dekho....
mahasoos karo.....
pura karo.....

andhere kamre me rosan sa,
nashat karne ko patange sa dekho swapan khada hai,
uthh khada ho,
haqiqat me aa,

tu jeet ker dikhlayega,
kyonki ab swapan nahi tu khada hai..........

Saturday 10 September 2011

SEEK OF SOUL

main kaun hu?????? main jab bi ye sochti hu,
achaanak hi ek attaahas gunj uthta hai..



sab kyu main ko upar,
or tum ko niche girane me lage haai,
jabki main koi hu hi nahi....

shann-bhar me hu or shann-bhar me nahi bi hu,
jab tak ye dhadkan ye sharir saath hai main to hu,
or shann-bhar paschaat iske samaapt hote hi nahi bi hu....

phir kyu kabi chaal(cheat) jane per,
to kabi sab kho jane per aahat hona,
kintu phir tum ye kyu ni samjhte ho..
ki asal me to main or tum alag hai hi nahi,
ye to keval samay or paristhiti ki mayaa hai,

shaan-bhar me tum na raho or shann-bhar me main na rahu,
to kya farq rah jayega tum me or mujh me....
isliye me tumhe maaf ker deti hu,
to kabi hans deti hu tumhari nadani per....

per tum kyun ye nahi samjh pate ho,
or har ek ko dukh pahunchate ho,
or har ek ki ankhon me aansu laker hi,
apna jivan saphal(success) pate ho....

or tab me sochti hu,
jab mujhme or sab me keval shan-bhar ka
phaslaa hai....
to kyu na kuch acha kerna hi acha hai,
me har ek burai se kuch sikh leti hu.....

kyonki shan-bhar paschat jab main nahi houngi to ye,
achaai hi kisi ke hone ki vajah hogi......

or tab phir ek ataahas gunjta hai,
or main tumhare is main per jo har ek burai ki vajah hai,
per hans deti hu,
or tumhri ankho me dekhti hu,
ki tum itna sankirn(narrow,cheap)
kyu sochte ho....

ek bar ye haath thaam udd ker dekho,
parhit(Philanthropy) me jo khushi hai use chu(touch) ker deho,
khud ko chod sab me kho ker dekho....



me phir hans deti hu sabke "main" pe,
or sochti hu sab kyu "main" ko upar or "tum" ko girane me lage hai,
jabki main koi hu hi ni...