Sunday 29 April 2012

YUDH.....

Jab-jab anyay had se badh jata hai,
anaayaas hi partikaar ka aagosh ban jaata hai.....


abhimanyu ke samaan mahabharti chakarvayuh me khud ko fansaa paata hu,
sadev hi khud ko sahi jante hue bi logo ke aage galat paata hu....

per andhere me dadipaymaan krishan ko sang khadaa paata hu,
sanhaar to kabi,sudarshan ko chalta paata hu....


per vishmay kya kalyugi durdintaa per,
satyugi kaurav-paandav bhi nahi dharm ke saath rahe jab....


jab maayaa-lobh maati ban aankho per chaa jati hai,
tab manushay se kya-kya dushchitay kritay karwati hai....

mahaabhart bi naam hai abhimaan ke partishodh ka,
maan ke naam per to bhrater-dharm banaa shatrutaa....

yudh to dusra naam h maan ka,
ya ant hota ahankari parivaar ka,
apmaan ka ghunt piker hi parjvilit hui agni parhaar ka....


kintu ant sadev satay-yukt hota h,
yug ho koi satay hi saphal hota hai....

kosise besak hui satay ko jad se mitane ki,
per mera abhimaan abhi shesh hai.....