Thursday 17 May 2012

Taciturnity.....ChUppIiii.......

Dur andhere me kisi ko pukarne se ye chuppi achi hai,
kabhi galat ho jane per kisi ko kuch rone se ye chuppi achi hai,
kale baadal ke gharaa jane per kisi ki or dekhne se ye chuppi achi hai,
kisiko galti batane ya galat ko galat thahraane se ye chuppi achi hai.....




jo todnaa chahte hai sab aatut bandhano ko hans ke vo riste chodte samay bi ye chupi achi hai,
sab acha karne per bi burai milne per hans ker siwikaarnaa tab bi ye chupi achi hai,
sirf tum jante ho jis jagah rahker tumne jo kiya vo sahi tha to ye chupi achi hai,
kisi ke nichaa dikhane per ya anyaay karne per bi shaayad ye chuppi achi hai....


kyonki koi nahi samjhane wala,
koi nahi mahsoos karne wala,
sab vidhi ka vidhan h jo tere bi haath me na tha,
bas hath me dikha jaise dhuaan(fog) tha,
isliye bas chuppi achi hai.....


kyonki apna maan sab bataye jane se or sab sun galat tharaye jane se
ye chuppi achi hai....

tum ho or keval tum hi ho tumhara jivan me koi dusra nahi,
nirjan tapu per phanse maanav se,
akele chilaane se ye chuppi achi hai....


aaj ke baad kabi kisi ko kuch na kahna,
kyonki ye ye chuppi hi bas teri hai.........