Wednesday 27 June 2012

SAGARrrrrr..

Ye lahren jab paanv chuti hai,
to ahsaas hota hai,
kitna kuch bit gayaa,
kitna kuch bit jayega.....


ye hawaaen jab julpho ko ched chalti h to ahsaas hota hai,
ki jo hua acha hua ,
aakhir ek or vishwaas or tut gaya....


me akeli sanaate me is ret ki,
to kabi lahron ki sangini,
to ahsaas hota hai ki kitni kushi de jata h kabi-kabi ye akelapen bhi.....


jab bhi najren phalaye aage dekhti hu,
to ye ahsaas hota h ki ye lahren muskurati si mujhe pukaarti rahi h,
me khamos mahsus karti sab sagar me utarnaa chahti hu....

ye hawaa ki sansan to kabi,
lahron ki jhan-jhan sun,
ye ahsaas hota ki kabi-kabi jindgi ka akelapen bhi kitna apna hota hai........

in sipiyon ke sang khelna,
to kabi inhe chalte dekhna,
sankh ka saundaraye to kabi moti ke mil jane ki kalpana,
maano umang bhar deta hai,


or phir ye shaant,aandidt or bilkul apnaa sa sab,
kabi lahron ki kal-kal ke sang vibhor hona to kabi,
muskurate-2 us suraj me samaa jana chod kanhi jane ka mann nahi karta.....


maano ye jivan yunhi is shaanti,pavitrataa or sach sang akele hi bit jaye,
bina kisi juth,kapat or kalesh ke......