Wednesday 1 May 2013

:-)STUMBLE

Thokre insaan ko chalna sikhati hai,
muskile insaan ko hansana sikhati hai,

lahre nahi tay karengi ki tu dubega or mar jayega,
ye to honsla hai jo tujhe tufan me bi jeeva layega....

suraj nahi tay karega ye ki uske dhalne se tu bebas ho baith jayega,
ye to budhi sang gyan hai jo andhere me bi sab sambhav karwa jayega....

banjar nahi tay karega ki tu bukha mar jayega,
ye to tu hai jo mehnat ker dhan-dhaanye praapt ker jayega....

ativrasti nahi tay karegi ki tu himmat haar baith jayega,
ye to tu hai jo ghan-ghor ghata me bhi apna kaam bana le jayega....

chunotiya nahi tay karengi ki tu maidan chod jayega,
ye to tu hai jo samne aayi mushkilo ko munh ki khilayega....

kisi ka sang chodna nahi tay kerega ki tu kalpit ho marr jayega,
ye to tu hai sampurn khud me jo khud sang prasan her manzil pa jayega....

katuvachan nahi tay karenge ki tu tut ker bikhar jayega,
ye to tu hai jo samne muskura phir khada ho jayega....

koi bi kamjori tod nahi sakti tujh ko,
ye to tu hai sab per jeet paker dikhayega.....

:-)kyonki thokre insaan ko chalna sikati hai....