Friday 6 January 2012

CLOUDS...

Badalon ki aakrti ki tarah,
nirantar chehre badlte ho manav.....


aaj nischal to kal bilkul kapti ban jate ho
o manav to kabi danav.......


aaj nilvarn aakash me shiv to pal bhar me hi,
raavan ban ubhar aate ho,
palbhar saveetvarn se to kabi neelimamay tum,
ghanghor kale ban ubhar aate ho....


kabi kal-kal sangeetmay dhavani se jal barsate ho,
tabhi palbhar me gadgadahat se sab vinash ker jate ho...


uff tumhare ye bante bigdte roop,
svetvarn rui se komal badal,to kabhi bijali sa sanhaarak....

me panchi udtaa jaata hu inme se,
chirta jata hu apni dhun me tum badlon ko....


me janne lagaa hu samjhne lagaa hu tumhaare roopon ko,
tabi to bina vichalit hue to kabi bina javab diye ,
liye muskuraahat badh raha hu manzil ko......

PeArL......

Ek din baitha me moti pirone,
paayaa bikharaa har sapna moti ke roop me....


khud me tute or bikhare sapno ko dekha maine,
unhe jhan-jhanhate motiyon ke roop me,
tham na sakaa,sambhal na sakaa,
bikharte sapno ke aansuoon ko motiyon ke roop me,
sochne bitha jab piroye motiyon ke baare me....

sab ja chuke the moti bandhan todker,
bhagte ek-dusre se muh chupate,
girne lage meri hatheli chodker....

utha sudradh ho phir se unhe pirone,
chunta gaya,chugta gaya har ek sapne ko moti ke roop me,
jab dekhi hatheli bhari in motiyon se to jhalak gayaa ek moti meri aankh ki
palak se,
phir se baitha aasha ke dhaage ko lekar or pirone laga unhe nistha ki hatheli se.....

ek-ek moti piroyaa usme lekar apne sapne,
ek prem ka to dusraa nistha ka,
dono ko prasan dekh laga pirone tisra,
sneh-mishrit parishram or daradh-nischay ka.......

bher utha hirday chalak uthaa hirday mala ko dekh ker motiyon ki tarah,
phir se bana vo haar ,
gujre jamaane ka jo liye tha chamak nayi tajgi ka,
aasha ki chamak dikhata,mera suhaana vo haar ban hi gayaa,
har sapna phir hans padaa vo dekho us moti ki tarah.....

HAPPY NEW YEAR.........

Hello friends,
Its a long time i didn post my new poem and did not write any new poem so i am posting my two faviorate advertisement lyrics here.One of them belongs to hero honda company and another coca-cola.....

Hum Mein Hai Hero Song Lyrics

Dil dheere dhadke hai aaj
Hone ko hai aaghaaz
Safar pe Chalne ka badhne
Itna hai Hausla
Uthna faasla
Manzil pe mil hi jaana hai
Khwabon se aage jaana hai


Humi se toh ummedein hain
Humi se toh dilasa hai
Hami pe hai nigaahe bhi
Hami pe Bharosa hai

Hum mein hai hero
Hum Mein Hai Hero

Dil se kaho hai Hum Mein Hai Hero
Khul ke kaho hai Hum Mein Hai Hero
Hum Mein Hai Hero




UMEED WALI DHOOP

Ummeed waali dhoop, Sunshine waali aasha
Rone ki wajah hai kam, Hansne ke bahane jyada
Zidd hai muskuraayenge :)
Khush rehne ka hai waada


Umeed wali dhoop, Sunshine waali asha
Tum dil se agar puchhoge

Woh khush rehna hi chahe
Jab sache mann se maango
Toh khul jaati hai raahein
Toh khul ke khusi lutaao, Ye kya aadha-aadha

Umeedon wali dhoop, Sunshine Wali asha
Umeedon wali dhoop, Sunshine Wali asha

These are not my literature.Soon i will be back with my own poem.
thank you.