Friday 6 January 2012

PeArL......

Ek din baitha me moti pirone,
paayaa bikharaa har sapna moti ke roop me....


khud me tute or bikhare sapno ko dekha maine,
unhe jhan-jhanhate motiyon ke roop me,
tham na sakaa,sambhal na sakaa,
bikharte sapno ke aansuoon ko motiyon ke roop me,
sochne bitha jab piroye motiyon ke baare me....

sab ja chuke the moti bandhan todker,
bhagte ek-dusre se muh chupate,
girne lage meri hatheli chodker....

utha sudradh ho phir se unhe pirone,
chunta gaya,chugta gaya har ek sapne ko moti ke roop me,
jab dekhi hatheli bhari in motiyon se to jhalak gayaa ek moti meri aankh ki
palak se,
phir se baitha aasha ke dhaage ko lekar or pirone laga unhe nistha ki hatheli se.....

ek-ek moti piroyaa usme lekar apne sapne,
ek prem ka to dusraa nistha ka,
dono ko prasan dekh laga pirone tisra,
sneh-mishrit parishram or daradh-nischay ka.......

bher utha hirday chalak uthaa hirday mala ko dekh ker motiyon ki tarah,
phir se bana vo haar ,
gujre jamaane ka jo liye tha chamak nayi tajgi ka,
aasha ki chamak dikhata,mera suhaana vo haar ban hi gayaa,
har sapna phir hans padaa vo dekho us moti ki tarah.....

No comments:

Post a Comment