Saturday 25 February 2012

PATAN...........

Me jaise-jaise aage badhti jaata hu,
patan mere najdik aata jata hai.....


mere kadamon ke sath-sath ,
kuch to ,kabi bahut kuch piche chutata jaata hai.....



main duniyan ke samne nikhrataa jataa hun,
to kisi daldal me phastaa jata hu,
jitna bi aage nikalta jaata hu,
darindon ki duniya ke bane rivaajon me phasantaa jata hu....



haar jagah aage badhanaa bi ek abhishaap banta jata hai,
jaise-jaise jamin se uncha uthata jaata hu,
ya jab kabi maanviy ashamtaon ko chunoti de upar uthata hun,
utanaa hi niche kinch liya jaata hu,
meri har achai,manviyataa va satav prem ko,
ashamay bataa mujhe piche khinch liya jata hai,


me jab bi unch-nich,jant-pant ki is paat ko baatna chahta hu,
mujhe galat sabit kar diya jata hai apne kalushit karmo se....


me jitna aage badhta jaata hu,
ye rishte tutte jate hai,
or mera patan or najdik aata jata hai,jaise hi me riste sambhalne niche jhukta hu,
mere karm pichad jate hai,


per ye dur ki mati-bharam hai,
ye keval mera bharam hai,
rishte or karam ek pahiye ki dhuri ke samaan hai,
mere karmon ka patan unhe bi kasat pahunchata hai,
or dono hi patan ki or aagarsar hote hai....



kintu mere rishte kamjor nahi,ye tutte nahi,
ye karm sang mujhe bi patan se khinch aage aagrsar ker dete hai,
ye mujhe phal ke liye nahi apitu karm ki or badha dete hai......


rishton ke saath patan hi mera jivan dayni bi hai,
me aabhari hu in rishton ki.......

Tuesday 21 February 2012

Dundh.......

Dundh ko chirte ye kadam bhage chale jaa rahe hai,
jaise kadam aage badhte jaate hai,andhera or ye
dundh chantati jaa rahi hai.....
mere badhte kadmon ke saath ye muskurahat bhi badhti jaa rahi hai,
to kanhi ye oos ki boonde chahre per aa-aa khilkhilaye ja rahi hai,
me bi in parindon ke sang khuli hawa me udti jaa rahi hun,
tham kuch naye sapno,umidon,sankalpon ka daaman thaam.....

ye nayi kirne aankhe tarraaker in oos ki boondon ko,
chahre se hataaye jaa rahi hai,
ye dudh jaise-jaise chantati ja rahi hai,
mann ki her nirasha mit-ti jaa rahi hai.....

issi tarah her ek dudh ka rasta chir kadam ek naye saphal raste ki or liye jaa rahe hai.....