Tuesday 21 February 2012

Dundh.......

Dundh ko chirte ye kadam bhage chale jaa rahe hai,
jaise kadam aage badhte jaate hai,andhera or ye
dundh chantati jaa rahi hai.....
mere badhte kadmon ke saath ye muskurahat bhi badhti jaa rahi hai,
to kanhi ye oos ki boonde chahre per aa-aa khilkhilaye ja rahi hai,
me bi in parindon ke sang khuli hawa me udti jaa rahi hun,
tham kuch naye sapno,umidon,sankalpon ka daaman thaam.....

ye nayi kirne aankhe tarraaker in oos ki boondon ko,
chahre se hataaye jaa rahi hai,
ye dudh jaise-jaise chantati ja rahi hai,
mann ki her nirasha mit-ti jaa rahi hai.....

issi tarah her ek dudh ka rasta chir kadam ek naye saphal raste ki or liye jaa rahe hai.....

2 comments: