Saturday 22 March 2014

KHUBSURT..

Kabhi-kabhi muskura jab uthti hu,
to khud hi khud se muskura baaten karta hai....

aaina bi tarif karta hai,
or muskurahat ke saath aankho ki chamak khahti hai,
achi lag rahi ho,
main muskura taal deti hu....

khushi se jhumte hu subh-subh bahar nikalti hu,
to hava kahati hai bandhe baloon me pyaari si gudiya lagti ho,
main shaitaani ke sath hanskar baal khol deti hu.....

tabhi badal niharta sa dhak leta hai,
taki dhup na lage,
me jhuk ker shukriya ker deti hu....

main teji se chalti,
deri se bachti bhagti hu,
to pass ka hi baag muskurata hai,
or phool muskura kahta hai....
dino-din khubsoort hoti ja rahi ho,
main khil-khila deti hun or dali chidh jati hai....


main manjil ka rasta pakad leti hun,
to rasta niharta sa ,tham leta hai,
or kahata hai,kyu ja rahi ho?
chalo aaj sair per chalte hai,
main ankhe taraa deti hu....

phunchte hi meri dost khahti hai,
kya khub lag rahi ho?
me khil-khila kheh deti hu,
tumse jayda nahi....

phir aate vakt bi sabhi milte hai or
shaam ka shahar jhankta hai, kone me se....

main muskura padhti kitab si,
chandni chahre pe aa girti hai,
or chand khidki per aa jaata hai,
main khol khidki use dekhti si,
vo lori suna sula jata hai,
sapne me spana khata hai,
aaj-kal khoobsurat lagti ho,
me karwat le simat jaati hu....

No comments:

Post a Comment