Monday 28 July 2014

Shreystha.........


jivan spandan,
ek anokha bandhan,

kabhi neend me mere chipak,
vo chote se hriday ki dhak-dhak,
thoda mujhse badkar thodda is jeevan se badkar,

tum kon ho,kanha se aayi ho,
ek baar fir nayaa jivan sang le aayi ho,

tumhe pyaar se nihaarte,
to in hathon se sahlate hathon ka kampan,

ek pyaari jhalak se nikale do aansoono ka sangrahan,

tum kanha se aayi ho,
apne sang naya jivan layi ho,

na jane kyon apne se bhi jayda apnapan basaalayi ho,
dheron athkeliyaan basaaye roz her roz kuch naya sikha jati ho,

tumhara athak prayaas,
pal pal ka sangarsh,
aage badne or jaldi bade hone ki kosis,

kanhi kaan me hole se kah jati hai,
nanhi jaan nahi ruki tum kaise ruk sakte ho,

vo kilkariyaan,
to vo rudan,
chod saare kaam apne pass bula leta hai,
to bhaut yaad bi aata hai,

me nahi jaan pata mera jivan bina tumahre astitav or darshan,
dahnayavaad mere jivan me aane hetu.........



Friday 11 July 2014

Satya........

Kyu juth ka saaya bojh dalta hai hirday per,
kya koi ghar bas paaya hai is par........

sataya ajay hai,satya katu hai,
ye kaisi duvidha hai jise na hirday samjh paye....

ye bolta hai bol de sab anyaay,
khol de juth pariyaay,

per tu kya payega,
hamesha ki tarah thoker hi khayega,

khud per kardam hi uchal javega,
khud kalusit na hoker bhi dusron ki najron me kalusit ban jayega,

kisne kha tha satyamev-jayte?
saansarikta me to astay hi vijay hota hai,

tumhara ek satya,
ek katu satya!
ek diwar ki darrar ban sakta hai,
jannat ko jahunum bana sakta hai,

me apne-aap ko is kasmash me fansaa pata hun,
kiska saath du,

kyonki janha satya-astay hai kisi ek ko to haarna hi hai,
to kyu na kuch ache khatir astay ko jitne diya jaye,

per me ruk ker phir sochta hu ,
kanhi meri ye ek chupi kisi or ko na leen jaye,

per satya bhi mujhe,
kanha kalank,kaleshon se bacha pata hai,
apitu usme or phasva jata hai,

mera antah-karan,
lagatar mere andar parahar ker raha hai,
or me sochta hun?
kisne kaha tha satyamev-jayte,

aaj ke baad shama un sabhi se,
jinse maine satya kaha tha,
MICCHAMI DUKKADAM................