Monday 28 July 2014

Shreystha.........


jivan spandan,
ek anokha bandhan,

kabhi neend me mere chipak,
vo chote se hriday ki dhak-dhak,
thoda mujhse badkar thodda is jeevan se badkar,

tum kon ho,kanha se aayi ho,
ek baar fir nayaa jivan sang le aayi ho,

tumhe pyaar se nihaarte,
to in hathon se sahlate hathon ka kampan,

ek pyaari jhalak se nikale do aansoono ka sangrahan,

tum kanha se aayi ho,
apne sang naya jivan layi ho,

na jane kyon apne se bhi jayda apnapan basaalayi ho,
dheron athkeliyaan basaaye roz her roz kuch naya sikha jati ho,

tumhara athak prayaas,
pal pal ka sangarsh,
aage badne or jaldi bade hone ki kosis,

kanhi kaan me hole se kah jati hai,
nanhi jaan nahi ruki tum kaise ruk sakte ho,

vo kilkariyaan,
to vo rudan,
chod saare kaam apne pass bula leta hai,
to bhaut yaad bi aata hai,

me nahi jaan pata mera jivan bina tumahre astitav or darshan,
dahnayavaad mere jivan me aane hetu.........



No comments:

Post a Comment