Monday 5 August 2024

Parents!!

 The day I saw someone taking care of his parents,I realized" what do they ask from us?".We can't do anything for them except take care of their name and prestige.They must have dreams about their son's marriage or daughter's marriage. They only want to see them in a fulfilled relationship.Their kids as their grandchildren.I can imagine their dreams and happiness. So we all try to give our best wherever we are and whatever we do.Keep going with full dedication.

Parents jinhe sabdon me banyan kerna namumkeen hai,

Jo duniya me late hi nahi,

Duniya bhar ki khusiya daman me daal,

Jatate bhi nahi,

Parents, Jo bhagwan ka hi ek partiroop h,

Kya nahi ker jate ,

Sirf chere ki choti si muskan ,

Or tyoriyon ki ek lakeer ko mitane khateer,

Parents, 

Sab sikh jate h naya ,

Khud ko bhool jate hamari dafa,

Chup-chup gum ko kanhi daba,

Muskura,himmat ban,

Apne dard chupa ,

Vo dil ka ho ,ya sharir ka,

Ho jate hai hamari  duniya me sarik,

Na jatate hamari haar ka dard,

Na hamari jeet ka haq,

Jo asal me unki hi h,

Parents, 

Kya hi de paye hum unhe,

Or kya de payenge,

Bas kabhi raste galat nahi lene h,

Unka maan salamat rakhna hai,

Jo bhi ho muskura har din uthna hai,

Jo kabhi chatan se laga karte the,

Ab dil darne laga h,

Roz roz milne ko tadpne laga,

Kaise basar ker payenge unke bina hum apna jivan,

Jab pata koi nahi is itni badi duniya me tumhare bina,

Parents.....

No comments:

Post a Comment