https://youtube.com/shorts/DFA-SVf8HSg?si=-ntWregyjpZ2Gr5D
Jinse bebaaki se baat Kiya Karte the,
Ab alfaaz halak ke upper nahi aate,
Mita diye the fasle sare,
Tod her janjeer,
Utha lakh sitam,
Kabhi uff nahi ki,
Or jab vo hua gussa pheli dafa ,
Dil ne aitbaar nahi Kiya,
Us din unko nahi baith khud ko khub Kosaa Maine,
Jane Kab Maine unhe preshaani de di,
Or khud per itni aazadi,
Uske is bartav se bhaut dukh hua,
Mujhe laga tha,
Manga nahi sayaad kuch bhi kabhi unse,
Unhe chahne ke alava ,
Kuch chaha bhi nahi,
Unke ache ke siva,
Per badlate badlate ab vo anghutha dikhane lage the,aankhe tara ne lage the,
Bhula nahi yeh dil ek pal ko bhi unhe,
Per ab us raste Jane se mana ker chuka tha,
Udaasi itni thi ki alfaaz bhi dafan the,
Honge unhe kai kaam or kai log unke,
Maine to sab unke liye chode the,
Khair yeh jatane ki cheeje nahi hoti,
Is baar baat roothne manane ki nahi thi,
Jane kitni baar chod ker bhi,
Dillaggi kabhi unke liye chodi kanha thi,
Per is baar dil bas khud mana ker chuka tha,
Khud se hi thora or khaffa,
Fir se suruaat kerni thi,
Ab dubara us raste ka naam nahi leta,
Or alfaaz kanhi ghehre sanaate me dafan ..
https://youtube.com/shorts/olN1pTPKy-M?si=2lg5fNYJN-4e4aK4
No comments:
Post a Comment