Duniya,
Agar sochne baithu to,
Saaf kyu nahi h,
Yanha kuch bhi pavitrata se kyu nahi dekha jata,
Kyu galtiyaan streeyon ki hi hoti h,
Kyu kaisa bhi koi vichar stree ka,
Uspe lanchan laga deta h,
Kyu Sita or kunti pavitra nahi thi,
Kyu Radha or Meera akeli thi,
Kyu nahi rakh sakti ek vatsalya ya sneh kisi ke or,
Vo kehla jati h,
Abhadra or kalushit,
In vicharon ko or sneh jatane ko kaise rokte h,
Or isiliye use hamesha sab tokte h,
Stree jo insaan nahi hoti,
Vo bhavnayen mahsoos nahi ker sakti,
Izzazat nahi use kuch bhi mahsoos kerne ki,
Izzat nahi uski kisi bhi bhavna ki,
Vo insaan nahi h,
Sirf mard hi ek se anek vivah ker bhi mahan keh late h,
Or krishna pujniya ho jate h,
Stree jo insaan nahi hoti,
Hoti h sirf galat,
Janha kisi ka bhala chahna bhi hota h galat,
Or ek pavitra Bandhan bhi hota h raaz,
Yanha Stree ka kiya ya socha kuch bhi sahi nahi hota,
Kyonki Vo hoti sirf galat or apavitra,
To yeh machini bina bhavna wali stree h perfect,
Jo kuch mahsoos nahi kerti,
Hoti h seemit khud tak,
Or lutati h sneh or vatsalya to,
Jaanti h ki yeh pavitra,
Vanhi thaam rakhte h sang dharma ka,
Bina kisi per lanchan lagaye,
Yeh raaj nahi hote,
Hoti h sankinrta soch ki manav ki,
Jo nahi samjh pate prem,Bandhan,sneh,manvata ya dosti,
Unhe sirf dikhta h pratikaar ek Stree ka,
Isliye rahna chahiye stree ko samudar sa,
Saaf or chup.