Sunday 15 September 2013

LO....

DUR-dur tak andehra dikhai deta hai,
athah andhera gahra andhera ,
na chor,na kinara,
na suruaat na ant,
ek choti si lo dikhai di,
kanhi kisi kone me.....

me bhagta hu pakdne usko,pane usko,
bas phaunchne hi wala hu,
prasan hu,
phir se jivit hu,
saans aane laga hai phir,
mil gaya ha sab ya milne wala hai sab,

bas ek baar ye lo mil jaye,
tabhi jor se hawa ka koi jhonka aaya
or bujh gayi ye lo??
ye rasta tumhare liye nahi hai,
abhi or bhaut aage jaana hai...........

Wednesday 10 July 2013

GO GO,RUN FAST......

I am walking alone ,
everybody closing my doors,

i am trapping in a box,
and tapping the walls,

i can see the whole world through
inside the box,
searching the door,
feel anxious inside the box,
broken the maze,

there is not only lackpulling alot,
beside blaming me all,
you need patience alot,
do and do work more and more,

yes,i m broken first door,
but it's not single challenge alone,
lots of thing to do more,
i am watching my goal,
continuously people interrupting my way of goal,
but i am running fast and fast,
time is less and work alot,
go,go run fast........
CAN I GET MY GOALS IN TIME??????

Saturday 6 July 2013

DRIZZLING RAIN......


Drizzling rain,
with coffee i make,
little moistness,cold breeze,still remain,
coffee beans with aroma of love still retain....


yes,this drizzling rain that sizzling my brain,
my hand used to right your name,
see the beautiful world of love through your name,
i can see you with your smiling face,
but again rain drops dribbling on your name,
slowly-slowly fade your name,
i see this all with plane face.....

yes,you hurt me alot sometimes,
but forgave and forgot,
your's warm breathe holds me,
whenever i feel lovelorn,

it doesn't matter you are with me or not,
you are here in my heart,
happiness and crackles full my heart....

sudden i step out,
whole world laugh out,
rain dance burst out,
i smile with myself,
because you are in me,with me,
feel a holding hand ever and forever.........

Thursday 6 June 2013

CHATAAN......

Main CHATaan hu,
jo sagar kinare,sagar se takrati rahti hai,
ye samajik buraiya ufan-ufan ke,
dubone is saher ko aavuk ho rahi hai,
per me inke bich me aa ,
is saher ko dubne nahi deti....

me vo chataan hu jo chaknachur nahi hoti,
tej hawao se,to na in javar-bhaton se,

maine kai dafa tumhe ufnte dekha hai,
to upar uth mujh per tutate dekha hai,
tum mujh per girte ho or na jane tut jate ho kitni bundo me,
haan mere bi kuch kinare tut gir gaye hai,
jo pasand ker lahre unke sang ho gaye hai....

tum haan tum sagar kai dafa tute ho meri bahon me sadiyon se,
jab bi kamjor the,himmat nahi thi,sab haar chuke the,
kabi beta,bhai,pati or na jane kitne naam,
me samet leti hu tumhe aanchal me or ban jati hu chataan vajr si,

tum phir uth khade hote ho,
or apni takat per itrate ho,
phir tut padte ho mujh per vajrpaat se,
me hansti hu,phir samet leti hu,tumhe hamesha ki tarah,
me sochti hu tumhari kisse kiski ladai hai,
ye na tum jante ho na main,


main dati hu is kinare,
yanha se na buraiya aane dungi,
haan!kadapi me bi in lahro sang andhe moh me,
chal padi buraiyon me,
per sambhal phir rokne lagti hu,
mujhe nahi bahna hoga.......

Broooooo..

Jab bi tumhari aankho me dekhta hu,
jivan dikta h,
tum bin kahe sab kah jate ho,
bin bataye sab kahe sab jaan jate ho,
mujhe mujhse behter jaan jate ho......

jab bi tumhari aankho me dekhta hu,
aaj bi kanhi thodi si rosni gahre or gahre andhere me dikhayi deti hai,
kanhi achai dikhai deti hai,
tum kaise sab badal dalte ho....
har dariya ka rukh mod dalte ho,
tum aaj bi meri aankho me jankh,
mujhe khud per abhimaan mahsus karate ho.....

meri gahri chupi,
har sanate ke piche ki halchal bhaanp jate ho,
or phale intjaar karte ho ki me batau....
or fir chutki bajate hi sab badal jata h,
tum dono hatho se mera chera tham muskura dete ho....

tum thama dete ho haath har bar ek bar or kosis karne ko,
haan me hu tumhare sath har raste pe,
janha se bi tum kudne ko kaho,
tum ho piche mujhe sambhalne ko,

ye haath tham sab aasan lagta hai,
manzile tay hone lagi hai,
or meel ke pather bi mil jayenge,
bas tum ho mere sath......

chalo ek bar phir vahi dor lagaye ,
jisme tum jitvane khatir mujhe khud gir jate the,
per ab me bada ho gaya hu,ab girna mat,
me hu tumhare sath,
janha tak bi lekar jaoge,
tham tumhara hat,puri takat se,
manzil tak pahunchenge,
kyonki jab bi tumhari ankho me dekhta hu sab mil jata hai.....

Wednesday 1 May 2013

:-)STUMBLE

Thokre insaan ko chalna sikhati hai,
muskile insaan ko hansana sikhati hai,

lahre nahi tay karengi ki tu dubega or mar jayega,
ye to honsla hai jo tujhe tufan me bi jeeva layega....

suraj nahi tay karega ye ki uske dhalne se tu bebas ho baith jayega,
ye to budhi sang gyan hai jo andhere me bi sab sambhav karwa jayega....

banjar nahi tay karega ki tu bukha mar jayega,
ye to tu hai jo mehnat ker dhan-dhaanye praapt ker jayega....

ativrasti nahi tay karegi ki tu himmat haar baith jayega,
ye to tu hai jo ghan-ghor ghata me bhi apna kaam bana le jayega....

chunotiya nahi tay karengi ki tu maidan chod jayega,
ye to tu hai jo samne aayi mushkilo ko munh ki khilayega....

kisi ka sang chodna nahi tay kerega ki tu kalpit ho marr jayega,
ye to tu hai sampurn khud me jo khud sang prasan her manzil pa jayega....

katuvachan nahi tay karenge ki tu tut ker bikhar jayega,
ye to tu hai jo samne muskura phir khada ho jayega....

koi bi kamjori tod nahi sakti tujh ko,
ye to tu hai sab per jeet paker dikhayega.....

:-)kyonki thokre insaan ko chalna sikati hai....

Thursday 4 April 2013

"NIRBHAYA"

Dedicate to "NIRBHAYA"

Funharon ke beech jhankti ek nanhi pari dekhi.......

khilkhilate,ithlati,thumak-thumak chalti,
munh ke bal girti,phir muskura,khilkhila chal padti,
nanhi pari dikhi....


bundo ki aatisbaaji sang liye,
phuharo ke bich bhag,
phir sahar thand se bhagti si pari dikhi..
kabhi jor se khilkhila,kabi muh per haath lagaye athkheliya si,
bas maa ko piche sambhalti si,phir nischint ho jati si pari dikhi......

chalte-2 frock me phas gir jati si,
phir jor se ataahas ke sath khadi ho chalti si,
ek pyari si,badi maasum si,chanchal si,thodi natkhat si..
bhag-bhag khud ke chotu ko chedti phir pani me bhag jati si,
nanhi si pari dikhi..
abhi se vatsalya me,prem me bhigi vo adbhut kriti dikhi.......

motiyon ki barish si phuharo me nachti si vo pari dikhi..
achaanak piche mud sambhalti si sankrakhak ko,vo kuch sankit si dikhi....

tabhi haath per ek pyaara sa esparsh liye,
ek pyari si,dulari si,mote-mote aansu liye vo pari dikhi..
god me le chup karati,kabhi uski duniya dekhti,
uske rone ke shor me adhir si,or vo bade apnepan se chipak mujhse bilakhti vo pari mili.....

tabi dusri or jor se tutlaati 'lishuu'
us nanhe ko,uski duniya phir se dikhi,
phir se nachti si,bhagti si,
main ek tak niharti,mand-mand muskurati,ektak usko niharti,
do bunde aansu ki jo uske kapolon per tiki hai abhi tak,
vo bhul sab khuch,pyari si vo nirmatri,


main use bachana chahti hu,
uski masumiyatye jivan,nischal prem,vo sari bhavanae bachana chahti hu,
ye har dusre per athak viswash,ye himmat bachana chahti hu,


es durdin duniya me vo kal phir milegi,
apne chote 'lishu'ko khilati,khelti,
main iske astitav,eske sammaan,maasumiyat,
ankho me ye chamak bachana chahti hu........

" SAVE A GIRL CHILD FROM FEMALE INFANTICIDE,RAPE,DOWRY,DOMESTIC VIOLENCE "