Thursday 6 June 2013

CHATAAN......

Main CHATaan hu,
jo sagar kinare,sagar se takrati rahti hai,
ye samajik buraiya ufan-ufan ke,
dubone is saher ko aavuk ho rahi hai,
per me inke bich me aa ,
is saher ko dubne nahi deti....

me vo chataan hu jo chaknachur nahi hoti,
tej hawao se,to na in javar-bhaton se,

maine kai dafa tumhe ufnte dekha hai,
to upar uth mujh per tutate dekha hai,
tum mujh per girte ho or na jane tut jate ho kitni bundo me,
haan mere bi kuch kinare tut gir gaye hai,
jo pasand ker lahre unke sang ho gaye hai....

tum haan tum sagar kai dafa tute ho meri bahon me sadiyon se,
jab bi kamjor the,himmat nahi thi,sab haar chuke the,
kabi beta,bhai,pati or na jane kitne naam,
me samet leti hu tumhe aanchal me or ban jati hu chataan vajr si,

tum phir uth khade hote ho,
or apni takat per itrate ho,
phir tut padte ho mujh per vajrpaat se,
me hansti hu,phir samet leti hu,tumhe hamesha ki tarah,
me sochti hu tumhari kisse kiski ladai hai,
ye na tum jante ho na main,


main dati hu is kinare,
yanha se na buraiya aane dungi,
haan!kadapi me bi in lahro sang andhe moh me,
chal padi buraiyon me,
per sambhal phir rokne lagti hu,
mujhe nahi bahna hoga.......

No comments:

Post a Comment