Thursday 8 February 2024

KHUD


Kuch yunh khoya tha main khud me,

Kai jadojahad main,

Kuch paane ki chaah me,

Bhaut kuch kho Jane ke gum me,

Kya mila uske liye muskurane me,

Jo na mil paya,

Use sochne me,

Ki ankh khuli to paya,

Jo sab nirbhar tha mujhpe,

Sab bikhra pada hai,

Khud khoya tha main,

Kuch is dafa,

Ki kafi kuch bikhara pada tha,

Sakte me tha,

Thoda raste me tha,

Ki phale khud sambhala ,

Thoda sab kuch sambhala,

Or jut gaya ek baar fir ,

Inhe sambhalne,

Samtene aaj ko,

Jo kal ka bhavishaya h,

Khoya tha..

No comments:

Post a Comment