Yeh khamosh si raat,
Or thodi sard hawayien,
Yeh chandani,
Or assman ka aagosh,
Tumhe bhi to dikhta hoga,
Yeh jo main dekhti hu,
Tumhe mahsoos kerti hu,
Tumhe bhi hota h kya?
Yeh log aksar khete h,
Jyada jatane se kadar kum ho jati h,
Or agar umar kum nikali to,
To tum bas yaad ker lena ki koi yaad kerta tha,
Vo mulakaat akhri thi,
Per ahsaas to din be din badhta ja raha h,
Log khete h dooriyan pyaar kum ker deti h,
Per yeh to din be din beintehaah hota ja raha h,
Yun baith akele sard nami me,
Bhaut kuch yaad aata h,
Per yeh kaise khedu dil tumhe chahta nahi h,
Tum nahi ho mere yeh janta h dil,
Per fir bhi begana manta kanha h,
Yun to bada samjha ker rakha hai maine isee sada,
Per ek tu h,
Jiske aage yeh meri manta kanha h,
Bas aankhe band ker koi,
Yunhi baithe,
Tumhe chahta bhaut h,
Ab kaise kahu,
Jitna bhi kosis karu bhulane ki,
Koi tumhe yaad kerta bhaut tha.
No comments:
Post a Comment