Friday 23 December 2011

Khushi.....happiness:-))

IN THE END of YEAR and OCCASION of CHRITSMAS-
FEELING OF THE YEAR

ye muskurahat anmol hai......

me chalte-chalte hi muskurati jati hu,or chir har us andhere badal ko,
ek or badi khushi pa jati hu,me or jayda khilkhila uthti hu.....


na jane ye kaunsi khushi hai,jo mera saath hamesha rahti hai,
main har us andhere badal ke saath bi khush rahti hu,
or uske chante hi us se bi badi khushi mere daaman me aa girti hai.....

meri muskan roke nahi rukti hai,
or mujhe itna akele muskurate chalte dekh,
mere aas-pass sab muskura uthte hai,
tab ye muskurahat or badi hoti jati hai....

me khush hu or aabhari hu uski jisne mujhe sab diya.....

me jiski bi chahat karti hu vo khushi mujhse milne ko aatur ho
mere piche pad jati hai,
ant chahe kuch bi ho,
per har bura ant bi mujhe or badi khushi de jaata hai.....


me aage nikal deti hu har us samay se,
per mera ye muskurata chehra kabi bi kuch piche nahi chodta hai,
mujhe motiyon ki tarah khushiyaan chunani aati hai,
me har us bure samay se kuch pyari yaaden sanjoy jati hu....
jo har pal mujhe hansati rahti h or me un hansi palon ko gungunati rahti hu.....

jo bi bura hua,vo mujhe muskurana sikha jata hai,
mere bujhe dil ko phir se jinda banaa jaata hai,
me samjh gayi hu, kuch bi isthir nahi,
kuch bi kabi bi badal sakta hai or khatam ho sakta hai,
isliye me muskurati rahti hu....

me aabhari hu us bure ki to kabi us acche ki bi jisne mujhe us samay me tham liya tha....

me aabhari hu us ishwar ki jisne mujhe har chaht chanbhar hi sahi,
per sab diya....


or na jane mujhe kya mil gaya hai,
ye muskurahat hai ki rukti hi nahi....:-))

Tuesday 15 November 2011

Patjhad.........(autumn)

Sab jhar jayega,
ye tahaniya sukh jayengi,
ye patte nirjeev ho gir jayenge........


tum bi sab kho jaoge,
ye sharir,ye dhan,ye aishwarye,
ya ye sab hi tumhare dushman ban jayenge.....

tum kuch samay pahle jaise dikte the,
vaise aaj nahi ho,
kuch jhar gayaa hai,
or aage aane wale palon me ye or bi jhar jayega,
issi tarah inhi patjhad ke paton ki trarah ye or bi jhar jayega.....

ye sab shanbhangur mausam ka her-pher hai,
jo tum sa paa rahe ho or khote jaa rahe ho,


tum bachpan kho chuke ho,ye samay or ek din budhapa bi kho jaoge,
bilkul aasadh,sawan or patjhad ki tarah......

ye patjhad ke pile patte bahut sunder najar aate hai,
per ye bhul chuke hai tumhari tarah ki ek din jald hi ye gir jayenge,
apne dambh me choor...


main ye nahi kahti ki in paton ki tarah khoye na rahe sundarta me,
me chahti hu ki ye sharirk saundarye chod satvik-aatmik saundarye banaye rakhe,
gulab,kamal ki tarah chanbanghur na sahi bargad bane,
jo ek vishalta ka pratik hai....

jo praniyon ke liye chaayaa,
to kabi praniyon ke liye patjhad me bi jivan ka traan hai,
kabi meri tarah sach me jee ker dekho....

bhautikta or khud ko chod vishal bano,
kyonki gulab to jalad hi mar jayega,
per jivan me bargad dusron ke liye kuch achaa ker jayega....

tum sharir rupi saundarye chod,mann ke saundarye
ka dhayan karo,
jo samay ko maat de in paton ki tarah jhar nahi jayega,
iski vajah budhape me bi tu kuch apno ka
haath badha payega.....


kyonki sach or achai me saans leker din be din jhar ker bi me amar hu.......

Monday 31 October 2011

THE WINDOW.......

Meri bus ki khidki....

suraj ki phali kiran athkehli si,
khilkhila meri aankho per gir mujhe jagaa deti hai,
nahaa ker bhagti si me jaldi me,
to vo baris ki bunde muskuraa fir nahalaa deti hai.....




musurahat liye ek janaa pahchanaa chehra darvajaa khol,
karta hai abhinandan mera,
me baith jati huto kabi sabke thahkon me ,
khadi rah jati hu.......

raste me kabi main to kabi badal aage hote hai,
to kabi achaanak koi meri gardan pakad leta hai,
gusse me tamtamma jab piche palat ti hu,
to ek masoom sa khilkhila apne haath badhaa deta hai,
anjaana hoker bi meri god me aa khilkhila deta hai..........

main apni manzil jaan utar jati hu,
to phir kuch jaane chahron ki muskurahat me apna swagat pati hu,
kaam khatam ker phir manzil per jane ka intzaar hota hai,
OR IS TARAH SAMAY KO HI MANZIL BADLTA PATI HU.......

kabhi seat jhapatati,
to kabi budhi aankho me apnapan dekh khali ker deti hu,
me muskura aage badh jati hu,
hawaa se baten karti,
to kabhi jeevan sangeet me khoti hui,
saare rishte dekhti hu.....

kabi ladka haath kiye ladki ko utaarte,
to kabi maa ki god ka nanha,
to kabi choton ka badaa ban bado ko utaarna....

main muskura deti hu ,
dekh chidiya ki race,
to kabi park me baithe do premi,
to kabi pakshi ghar banate se........

kabi apna pair to kabi uska pair apne sandle ke niche,
vo chil laa deti hai,
or kabi bolti aankho se sorry bol deti hai...

IS TARAH MAIN HER MUSKURAHAT KI AABHARI,
HAR KISI KE CHAHRE KO MUSKURATAA DEKHNA CHAHTI HU,
OR DEKH VO MUSKURATE CHAHRE APNE ADHRON PER ,
EK MUSKURAAHAT KO KHEL TA PATI HU,

main bi thak aaker bistar per so jaati hu,
phir se paane ko meri pyaari
BUS KI KHIDKI...............

Saturday 15 October 2011

Muskurahat......smile plzzzzzzzzzz :-)

Ek muthi muskurahat,
deti hai dil me jo khushiyon ki aahat..........


ek anjaani si duniya me,
jab tu paheli baar roya to koi nam ankho se muskurayaa tha,
vo muskurahat....

ek tute sapne ki bojh ko aansu me dabaye,chalte insaan ki chahat,
vo muskurahat....

is anjaani durdeen duniya ki bhid me,
apnapan de jaye,
vo muskurahat....


phul per mandrate bhanvre si ,
to kabi maa ko pagal banati bache ki baton si,
vo muskurahat....

subh si mahki to kabi shaam si,
to kabi raat si suhani,
vo muskurahat....

to kabi lakshay pa jane ki,to kabi zindgi basar ker jane ki,
to kabi jubaan band ker ankho se sab kah jati,
vo muskurahat....

muthi me dabaye rakhna isee,
ki kanhi kho na jaye muthi bhar muskurahat......:-))

Thursday 13 October 2011

Dilemma.....kasmkash

Kasmkash samjhte ho,
nahi samjh sakta koi,jab tak mahsoos ni hoga?



kasmkash vo sanp hai jo dum ghot leti hai,
to kabi vo dhuaan hai jo saans rok leti hai,

kasmkash jo ye jaan na chahti hai,ki hum kya chahte ho?
kasmkash vo jo khinchti hai khud ki taraf,
kabhi dabaati hai aatmaa ko,to kabhi duniya ko,
kasmaksh chahti hai shaanti,esthaitav aatmaa ka,
to kabhi banna chahti h gyan ki pipaasu,
to kabi gargi,
to kabhi khinchti hai duniya bhotitakta me,
kasmkash kabhi khud me,to kabhi khud se,
jo chahti hai saara aishwary duniya ka,
kasmkash vo jo ghutati hai,
sab mil jaane per bhi,
kyonki tum ye nahi chahte sach me.....



dono khinchte hai khud ko sab paa jane per,
kasmkash phir puchti hai,
khud se tum kya chahti ho ?
tum bilakh padte ho khud me simte,
phir sochte ho kya chahte ho akhir tum asal me................?

Thursday 29 September 2011

HiMmAt....

Muskilon se bhag jana aasan hota hai,
har pehlu zindgi ka imtihan hota hai,
darne walo ko milta nahi kuch zindgi me,
ladne walo ke kadmo me janhan hota hai,



tu bi ladta chal
apne karmyudh me badhta chal,
andiyon ka kya hai vo to aayengi,
kabi barise to kabi tufan bi aayenge,
per himmat ke sathi tera kya bigad payenge,

kabi bi thak na tu,
kabi bi jhuk na tu,

ye mushikele hi tujhe manzil tak pahuchayengi,
dil me ye vishwas rakh,
mann me adik aas rakh,
hamesha ye yaad rakh,

mushkilon se bhag jana aasan hota h.....

Sunday 18 September 2011

Swapan....

Bhavana ko haqiqat ka jamaa pahnaa,
dekho swapan khada hai,




soch ka anokha sandesh-vahak,
aa nind me dekho swapan khada hai,
hirday ki tees,
to kabhi sunharaa bhavishey la
dekho swapan khada hai....

dekho....
mahasoos karo.....
pura karo.....

andhere kamre me rosan sa,
nashat karne ko patange sa dekho swapan khada hai,
uthh khada ho,
haqiqat me aa,

tu jeet ker dikhlayega,
kyonki ab swapan nahi tu khada hai..........

Saturday 10 September 2011

SEEK OF SOUL

main kaun hu?????? main jab bi ye sochti hu,
achaanak hi ek attaahas gunj uthta hai..



sab kyu main ko upar,
or tum ko niche girane me lage haai,
jabki main koi hu hi nahi....

shann-bhar me hu or shann-bhar me nahi bi hu,
jab tak ye dhadkan ye sharir saath hai main to hu,
or shann-bhar paschaat iske samaapt hote hi nahi bi hu....

phir kyu kabi chaal(cheat) jane per,
to kabi sab kho jane per aahat hona,
kintu phir tum ye kyu ni samjhte ho..
ki asal me to main or tum alag hai hi nahi,
ye to keval samay or paristhiti ki mayaa hai,

shaan-bhar me tum na raho or shann-bhar me main na rahu,
to kya farq rah jayega tum me or mujh me....
isliye me tumhe maaf ker deti hu,
to kabi hans deti hu tumhari nadani per....

per tum kyun ye nahi samjh pate ho,
or har ek ko dukh pahunchate ho,
or har ek ki ankhon me aansu laker hi,
apna jivan saphal(success) pate ho....

or tab me sochti hu,
jab mujhme or sab me keval shan-bhar ka
phaslaa hai....
to kyu na kuch acha kerna hi acha hai,
me har ek burai se kuch sikh leti hu.....

kyonki shan-bhar paschat jab main nahi houngi to ye,
achaai hi kisi ke hone ki vajah hogi......

or tab phir ek ataahas gunjta hai,
or main tumhare is main per jo har ek burai ki vajah hai,
per hans deti hu,
or tumhri ankho me dekhti hu,
ki tum itna sankirn(narrow,cheap)
kyu sochte ho....

ek bar ye haath thaam udd ker dekho,
parhit(Philanthropy) me jo khushi hai use chu(touch) ker deho,
khud ko chod sab me kho ker dekho....



me phir hans deti hu sabke "main" pe,
or sochti hu sab kyu "main" ko upar or "tum" ko girane me lage hai,
jabki main koi hu hi ni...

Monday 29 August 2011

Haar na manegee....


Jab kabhi ho dil udas ,
kah de us khuda se haar na manege hum....
jab kabhi dubee ye dil keh de usse,
manushay hoker na tutenge hum.......

bhulbhulayaa hai ye jivan,
magar jivan nahi asambhav,
maanaa manzil na paye hum,
magar marg na bhatange hum.....


maanaa hai andhiyaree ka saamrajyee,
kintu pathik tu na hona praajeet......

hai is sinee me aas agar,
phunchega tabi vanhaa hai paas khabar,
hai jeene ki agar lalak tujhme,
haraa na kabhi payega phalak tujhe....

asambhav nahi kuch bhi yaad rakh,
hai jaan tab tak pryaas ker,
yaad ker un palon ko jeetataa tha tu,
fir kaise haar sakta hai in palon ko tu.......

sab jagah asaphaltaa kya?
bigaad kabi payegi viphalta kya?
daraa kyu in mitti ke putalon se tu?
kiya kya nayaa jaraa puchker batlaa in kathputlon se tu?

aa phir maidaan me samay kum to hai kya,
kosis karne ki himmat to jutaa,
aaj nahi to kal manzil to payegaa,
kyun thakaa hai tu kyu ruka hai tu,
kyu tut chuka hai tu?

ho chuka nahi samar samaapat,
abhi or tere paas nahi samay abhi,
uth chal chal-ker dikhlayegaa,
haar phalak ko manvayega.....

jab tak saans hai khud per adik,
vishwas hai to manzil ko payegaa...
der hi sahi kuch ker ke dikhlayega,
per haar na maanega,
manav kahlaa ke dikhlayegaaaaaa...........

Wednesday 17 August 2011

न दैन्यं न पलायनम्

ज़िन्दगी की राहों मे जीतता चला जाऊँगा,
हो तम कितना भी चीरता चला जाऊँगा,


ऐ कपट, पास भी न आना मेरे,
वरना तुझे भी नेक राह पे खींचता चला जाऊँगा,....

तुझे भ्रम है बंदे की सब तेरे है,
सबके बटे है तो अलग - अलग कर्मयुद्ध और धर्मयुद्ध,
ओ अकेले,
तू भी अकेला है अपने युद्ध मे,
पर चल अकेला अंधियारे और उजियारे पथ मे ....

भटक न तू, एक क्षण को भी थक ना तू,
जिस पल तू भटक जायेगा तो ठोकर ही तो खायेगा,
पर ठोकर ही तो राह गलत समझाती है ....

विश्वास ही तो धोका, खुशी ही तो आंसू दिलाती है,
है जीतता तू अबी, तो हारेगा कभी भी,
है जीवनचक्र ये सभी, खो के ही तो पाना आएगा ....


तू इंसान है, इंसान ही तो ठोकर खायेगा,
आज गिरा है तो कल ऊठ भी जायेगा.
आज खोया है तो कल फिर सब पा भी जायेगा ....




सही मार्ग पर चलते - चलते एक दिन मंज़िल को पा जायेगा,
हिम्मत न हार और धैर्य के सहारे कहता चल,
ज़िन्दगी की राहों मे जीतता चला जाऊँगा,
हो तम कितना भी चीरता चला जाऊँगा,.........




Sunday 7 August 2011

DOST..........(Happy friendship day)

This poem dedicated to my best friend (my brother manish)-


Gahre andhere ke baad ,
kisi ne meri palken khulvayi thi,
vo hai mera dost.....

mere dag-magate paavon ko,
ungli pakdai thi,
vo hai mera dost....


kabi chalaya,kabi girayaa,
mere mastak per na haarna likhvayaa,
khali registan se khali mann per himmat likhvayaa,
khali hirday per ret me ungliyaan chalane sa vijeta banane ko..
vo hai mera dost....


saath khilane ko,rakhi badhvane ko,
muhalee me kisi bache ko pit ker aane per,
mummy ki maar se bachane ko,
galat hota dekh ,bardast na hone per,
shant karwane ko,haath pakdyaa jisne,
vo hai mera dost....

ram sa gambhir to laxman se dambhi ko,
jivan gyan sikhane ko,
jaldi badaa karne ko,khub dudh pilaata,
jo vo hai mera dost....


kabi gir jane per,kohni chil jane per,
khoon na aane dene ko,
kabhi himmat haar na jane ko,
shansakti sikhai vo hai mera dost....


raat ko andhere me,dar kr nind tut jane per,
haath pakdayaa sulane ko,
kabi haar jane per,himmat tut jane per,
khud ka gyan karwayaa vo hai mera dost....

kaisa bi dokha ho jane per,
to kabi dil tut jane per,
aansu ponch sahaara diya,
dubaara khada karne ko,
vo hai mera dost....

kabi baat na maan ne ko,
gussa dekhane ko,
dant bi toda vo hai mera dost....

nahi jaan sakte tum uska tayaag to dekho thoda uska balidaan..
kabi uski saari choclates chipp kr kha jane per,
to kabi exam copy phaad dene per,
to kabi mushkil se udi patag piche se tod dene per,
to kabi maggi chinn lene per,
to kabi uska bi dudh pi jane per,

to kabi use mummy ki god se utaar dene per,
to kabi uska bag apne school le jane per,
to kabi uske doston ko maar-2 kr ghar se nikal dene per,

nahi kiya gussa bi kabi,
meri khilkhilahat gunjane ko....

nayaa phone dilane ko,
khud ka form chodta,
vo hai mera dost....


mera exam dilane ko,
khud na sota vo hai mera dost,
mere aansuo ko dekh
khud rota hai jo vo hai mera dost,
har dukh bhulane ko hansataa hai jo,vo hai mera dost....


virat ho tum,shakti ho tum,
anupam ho tum,srishati ka abhimaan ho tum,
achai ki pahchan ho tum,
ahsaas karaata jo hai,
vo hai mera dost,
IS PRITHVI KA SURAJ HAI VO....
and i m always being his little brother....

Saturday 30 July 2011

MITHYA..


Mithya sansar ke mithya sagar ka mithya bulbula hu main,
jivan rupi paheli ki bhulbhuleya hu main..

karmyudh hai ye jivan jiska ek yodha hu main,
rishton ke mithya jaal me fansa ek parinda hu main..

karm se vimukh dayitvon(duties)ka khokha hu main,
bhoot me duba,vartmaan ko khota bhavishay ka nirmata hu main..

kalushit samaaj me achaayion ko chitkarta hirday(heart) hu main,
dosharopan ko sahataa ek,karta putla hu main..

barbartaa dekh achaai ko tarsta pyasaa hu main,
fir se prakash pane ko udhat hu main....

mithya sagar ke mithya vish ko mitane ko pryaas rat navik hu main..

khud me simta us mithya ishwar ka varis hu main
main annant,amit,atal aatam prawaasi hu.......

Thursday 28 July 2011

unsuljhi paheli......


ek din jab naneh hathon ke isparsh ne mujhe chokanya,
puchne lagaa vo naneha varis ki

"IF HERE NO ONE HEARD US,THAN WHY DO WE PRAY....????"

samjh na saka mera dil use per
tabhi ek javab kondh aaya

hai sadiyon se unsuljhi ye khani,
aakhir kisne di is jivan ko ravani(birth n momntem)??
knyu janam hua mera isii vansh me ho sakti thi alag meri kahani......
paaya maine jivandayni maa ka sang,
hai nisavaarath nyochavar karna jise pasand
paaya maine amber hirdayi paa ka vaatshaly,
hamare jivan ko sarthak banaa na hai jinka lakshay....

paaya maine us bade ka pyar,
koutuhal tha jiski ankho me kabhi dekh us nanhi jivan ko tabhi,
prashan the maa se uske,
kya khelega badaa hoker ye mujhse kabhi,
chalna sikha jiski ungli pakadkr maine,
payaa aisa path pradershak maine,
mila sresth guru ka roop mjhe....


diya jisne sadaa achaayion ka vatavatarn mujhe,
kaise jhutlata is sarv satay(truth) ko maine....

tab naneh ko god(lap) me le,laga samjhane mein....

jisne ki rachna jeevan ki,
hai kanhi aduevitay(uniqe)koi,

santust kiya nahi jab tak nanhe ko machalne laga hirday tabhi....

phir kyu samrajay hai juth,swarth ,phereb ka sabhi,
kyu milta hai sach ko anyaay abhi,
kyu andhviswas se dabta shaster ka hai,
ya ye sab bi vidhata ka ek khel hai,
hai agar vo iish kanhi to hoti na duniya vishbhari,
or tab nanhe ki ungli pakad nikla mein khoj me issi............

THE SEARCH...........


Kuch khojta hai hirday(heart) sadev,
kuch rokta hai,sab kuch pane se sadev,

har pal ek davandta(confussion) hai,kya paana or kya khona hai
ek aesthirta hai mann me,pata ni kanha se aaye hai,kanha jana hai..

dil dukhta hai,dard ka sagar umdta hai
kuch bardasta hai jeet ki per haar ki nahi........

kuch bojh dalta hai sine(heart) per sadev
kya matlab hai ,dukh me jeene ka sadev...

kyu chubhta hai,seene me sadev
kyu haar gayi me,kya jeetati thi sadev..........

Wednesday 27 July 2011

UNCONDITIONAL LOVE and BLESSINGS.........

Love expands and it is make our life the divinity that sustained us.We will be filled with humility and deep gratitude from love.


No single person is in control of everything.There is no sense in blaming any one person when something goes wrong or to afraid of?All experiences have been LESSONS.We could not have changed anything.so,there little else to do than express unconditional love and everything.
When we realise that we are not the one who does everything,we will see our ego getting nullified.


God is to be loved.
Everything is temporary.Everything has a definite lifespan.Once we accept this truth,there is no room for egocentric expression.All we can do is to forgive everything.Bless everything.
When we shift our consciousness to universe,the impact of whatever did by another one and wear and tear of events around us will be very littel.Nothing will overwhelm us deeply.
Nothing happens by accident.Everything has a reason.We often cannot understand the reason from level of consciousness.Our cosmic perfection is infinite and it interpreted as cosmic deficiency.


All of us exist in various planes of consciousness.We carry the conditionings of our immediate past as well as other lives without having clarity about it.We cannot usually figure out which conditioning.Hence,it is important to touch base with our own consciousness.